Koi Fark Nahi
Un Nigahon mein, hua jo zaahir, wo ulfat to nahi
Wo hai maghroor, main bezaar,bezubaan si kahi
Un Nigahon mein, hua jo zaahir, wo ulfat to nahi
Unka aaghaaz ho jaha, ke main hoon khatm wohi
Mujhko apni si bana le, ya ke mujhsa tu banjaa
Kya muhobbat kya tabahee; koi fark nahi
Mujhse pehli si muhobbat, mere mehboob naa maang
Hai ye dil khali, nazar khali, zubaan bhi gumnaam -(2)
Maine jis tarha tujhko chaha, mere bas mein nahi
Hai ye illzaam ya shikwaa; koi bhi fark nahi
Is zamane mein, jo ho mukammal, aisi cheez kaha?
Meri ruswaayi…. meri rooh se, jaa pooch rahi -(2)
Jiski koi, dawa namumkeen, aisa marz hau ye
Jee rahi hoon ya hoon bejaan; hai koi fark nahi
Ye hazaaron ke faasle, jo reh gaye darmiyaan
Unko ashko se mita dena, kya jayez hoga?
Jhoot itne ke apne sach bhi karzdaar se hai
Hum rahe saath ya alag; koi bhi fark hai
Humsafar tha wo, humkhayal, aur mera humnasheen
Just-a-joo aaj bhi aahoon mein, baaki to nahi
Wo jo kehta tha chaand taaro se, bhi main hoon haseen
Ya wo sach tha, ya mehez khaab; koi fark nahi
No comments:
Post a Comment