Thursday, March 31, 2022

 Talaash!

Meri nazar se chupa kaha tu
Hai mujhme shaamil tu hu-ba-hu
Tamaam raahein badal ke dekho
Wohi hai haazir tu roo-ba-roo


Unhi ki yaadein nazm hai meri
Wohi tassavuur, ghubaar wo
Wohi muqaddar ka rehnuma hai
Wohi masihaan/marassim, mazaar wo

Meri kashish se juda kaha tu
Har aas mein teri just-a-joo


Hai muqtasarr sa safar hamara
Phir hai umar bhar ka intezaar
Ke baat bhar ko nazar mile the
Kaha babasta phir wo khumaar

Hazaar karwat badal ke chaha
Nahi bujhi dil ki aarzoo


Ya barf ki silwaton ka mausam
Ya ret par sulagti si main
Teri hi baarish ki aas mein hoon
Teri tapish ke hi aas mein

Tamaam soorat badal ke dekhi
Hoon teri jaanib, tu char-suu


Dil aashna hai junoon mein teri
Rawa madhoshi mein bifikar
Nahi pashemaan, ke raqs mein tu
Kabhi ho haasil, main mumtazar

Hazaar sajde tadap rahe hai
Tera talabgaar ye sukoon!

No comments:

Post a Comment