Thursday, March 31, 2022

Koi Fark Nahi


Un Nigahon mein, hua jo zaahir, wo ulfat to nahi

Wo hai maghroor, main bezaar,bezubaan si kahi

Un Nigahon mein, hua jo zaahir, wo ulfat to nahi

Unka aaghaaz ho jaha, ke main hoon khatm wohi

Mujhko apni si bana le, ya ke mujhsa tu banjaa

Kya muhobbat kya tabahee; koi fark nahi



Mujhse pehli si muhobbat, mere mehboob naa maang

Hai ye dil khali, nazar khali, zubaan bhi gumnaam -(2)

Maine jis tarha tujhko chaha, mere bas mein nahi

Hai ye illzaam ya shikwaa; koi bhi fark nahi



Is zamane mein, jo ho mukammal, aisi cheez kaha?

Meri ruswaayi…. meri rooh se, jaa pooch rahi -(2)

Jiski koi, dawa namumkeen, aisa marz hau ye

Jee rahi hoon ya hoon bejaan; hai koi fark nahi



Ye hazaaron ke faasle, jo reh gaye darmiyaan

Unko ashko se mita dena, kya jayez hoga?

Jhoot itne ke apne sach bhi karzdaar se hai

Hum rahe saath ya alag; koi bhi fark hai



Humsafar tha wo, humkhayal, aur mera humnasheen

Just-a-joo aaj bhi aahoon mein, baaki to nahi

Wo jo kehta tha chaand taaro se, bhi main hoon haseen

Ya wo sach tha, ya mehez khaab; koi fark nahi


No comments:

Post a Comment