Thursday, March 31, 2022

 Agwara/Facade


Zindagi ko dhalte mausamo sa sambhalti main
Kuch Sawalon ke jawaabon mein ulajhti main
Gar dhuaa hai aashiyaan mein, ghar jala hi hoga
Apni hi seerat chupati.... kya khamosh rehti main??

Toot te rishton ke dhaage, kya inhe seel payengey
Choot te lamhon ki yaadein, kya bhula payengey
Gar safar hai kismaton mein, manzile juda hi hongi
Aur kya hijaab dhaati...kya fitrat badalti main?

Nafarmaani meri teri berukhi si ban gayi
Shikayatein meri teri bekasii si ban gayi
Gar kasak hai aasuyon mein dil dooba hi hoga
Apni hi soorat badalti...kya jhoot jeeti main?

Tere daaman se judi jo.. meri parchayi si hai
Meri ulfat mein bhi to.. soorat teri dhundhli padi hai
Gar sifar(zero) hai iska haasil..kuch to choota hoga
Aur kya manzar dikhati...kya sach chupati main?


Apne sach ki talaash mein!

No comments:

Post a Comment